Wednesday, December 21, 2005

Socha Tha

Socha tha ki kabhi aapkke
Paas naa hum ayenge
Socha tha ki door hi se
Bafa hum nivaenge
Aap ne jab aakar humse
Hule dil yu pooch lia
Hum aapko yeh kaise bataye
Kitna apse pyar kia

Cham si ek ayaz hui
Yeh dil jo mera tut gaya
Kisi matyale basuri se jaise
Sangeet achanat rooth gaya
Aasu mera kabhi kah na saki tumhe
Darde dil ki daasta
Mere khamoshi ne dikha diya mujhe'
Tanhaiyo ka raasta

Hoto ke jo alfaz the mere
Yoh shayad is dil ka afsana na tha
Nigaho ki zuba meri
To tumne kabhi pehchana na tha
Dil ke kisse likh diye the maine
Sawan ke patto mein bhigi bhigi
Woh patta aaj bhi sard hawa mein
Tumhare Aangan se ho kar gujarti hogi
Bejuban patta kisi khirki se
Chupke se kabhi jhakti hogi
Us khuda se tumhare lia
Salamati ki duyae mangti hogi

2 comments:

Anonymous said...

Hi,

Dard kabhi kalpanonki aasra le leti hai to eak sundar kavita ban jati hai.

Aapki kavita ias batko sach karar deti hai.

Kabhi dard aur kalpanonko eak dujese bichadne na dijiye

Bye.

Kumar

Unknown said...

Thanks for reading and liking my poem.
Regards,
Saswati

 
Follow on Buzz
stat counter