Khwabo ka mahal mai thor du aaj
Kartabya ki rahe bulati hai
Insaniyat ka jasba aaj mujhse
Muhabbat ka balidan mangti hai
Aasuo ko mai rok lu aankho par
Jo kamjor karti hai dharkan ko
Sangram rah par nikal pari hoon
Tor moh ke har bandhan ko
Gar aaj kadmo ko na roka maine
To shayad kal kabhi naa rok payu
Yaa phir aaisa ho bhabishya main
Ki mai aatma-samman hi bhool jau
Dard tumhara to har koi sunega
Jab pukaroge tum mujhe rote rote
Sunega koun is dil ki ayaz
Jab yeh tooth jayega tumhe albida kehte
Tum to bebafaye ka ilzam dekar
Hume hamesha ke lia bhoola doge
Hume to gum bhulane ke lia
Shayad aasu bhi nasib na hoonge
My first poetry book- Fragrant flute of fire
13 years ago
No comments:
Post a Comment