Tuesday, December 20, 2005

Mazhaab aur Insaaniyat

Khuli hai meri rahe aaj
Khali hai yeh nigahe aaj,
Bhar de inme aasu tu
Milan ki khusi mein
Gale aaj tu prem ki raag
In khamoshi mein

Bulaaye tujhko, bachpan ki masti
Barsaato mein woh kagaj ki kashti
Woh tuta khilowna, woh chuta jo saat
Woh raho mein chalna liye haatho mein haath

Na thhe tab hun hindu
Na tum Musalman
Dosti hi thhi apna Mazhab imaan
Phir kyun aaj yeh larai aur takrar
Yeh khoon ki holi
Yeh jhuta diwar

Dekho tum woh bachpan ki galiyan
Woh ped ki chao
Woh behti nadia
Inhone to hume aitraaj na kia
Yu milne se, prem ke khilne se

Prakriti ne ki to sabhi se pyar
Maa ki tarah humain dia dular
Phir kiyun hum banaaye diwar
Apne hi aangan mein
Nafrat ka kalank kiyun lagae hum
Apne hi daman mein

Tu kahe too chordu us bhagwan ko main
Jisto maine kabhi paaya hi nahi
Kya vaasta hai terah us allah se
Jo tere gum sunneh kabhi aaya hi nahi

Har taklif mein paayee main too terah hi haat
Tere sath bitaayi har gaamon ki raat
Phir puchti hoon main,- aye mere yaar
Kya kho baithi mol yoh aitbaar,
Yoh bafa, yoh niswarth pyar
Dekh mazhab ki uchi diwar

Nafrat ke saamne kya haar gayi aaj
Manushya manushya ki muhabaat
Kya choti par gayi mazhab ke saamne
Insaan ki insaaniyat.

No comments:

 
Follow on Buzz
stat counter