Monday, January 30, 2006

Ek Rista

Tere mere bich jo hai ek rista
Isko koi naam na do
Isk keh kar is riste ko
Zamaane ka badnaam na do

Ehsaas jo jaga hai maan mein
Use eu hi tum panapne do
Kali jo mehki hai ban mein
Use gul bankar khilne do

Zeevan ka dor kamjoor bara
Na jane kab yeh toot jaye
Bebafa naseeb kyon jaane kab
Hum se yuhi rooth jaye

Raha mein yu chalte chalte
Saath kabhi ye toot jaye
Milan ka bahar is zeevan mein
Phir kabhi, aye na aye

Hum to tere yaadon mein
Har roz shayari kiya karenge
Tere naam ke deep tulsi ke tale
Har shaam ko dia karenge

Darna nahi ki ayungi na mein
Kabhi tere paas mein
Smriti ban kar chupi rahungi
Tere dil ke ehsaas mein

Daag nahi lagne dungi mein
Tere paak daman mein
Kabhi gul bankar mehka karungi
Tere ghar ke aangan mein

Fiza bankar cha jaaungi mein
Har barasta sawan mein
Prakash ban kar prerna dungi
Andhere bhare is zeevan mein

Agar kabhi zindegi mein
Tujhko meri yaad aaye
Prerna ke roop mein mujhe paane ko
Tera yeh dil bulaye

Toh payoge mujhe tum kisi
Masoom bache ke muskan mein
Ya phir kisi urte huye
Panchi ke paygaam mein

Na dhoodna mujhe door sitaro mein
Aye mere man ke meet
Rahungi mein paas tumhare
Banke tumhari zeevan sangeet
 
Follow on Buzz
stat counter