Saturday, June 23, 2007

Wed my thoughts with thy ideals
Illumine my soul by thou sublimity;
So that a life worthful I live
And prove useful to the humanity.

Tuesday, May 22, 2007

Intezaar

Do din ke mulaqato main
Kya rang bikher gaye
Hum aap se mile, milkar bhi
Aap se bichar gaye

Kya kahoo kaise bitayi maine
Tanhayiwon ke din
Hoto ki har sangeet byarth hai
Mere aap hi ke bin

Pal pal mujhe aapki
Yaad aati hai
Ped ki panchi
Aapki geet sunati hai

Door kahi se ek aahat aati hai
Chupke se kaano main
Koi kuch kehke jaati hai

Viyog ki yeh vedna
Hum kaise sahenge
Kya mere zindegi main
Kabhi lautke aayenge

Aap aaye yah naa aaye
Hum aapke naam se jiyenge
Door hi se hum aapse
yu pyar karenge

Suraj ki aakhri kiran mein
Didar karenge
Aur umar bhar yu aapka
Hum intezar karenge...

Sunday, May 20, 2007

Ankahi baatein

Mana ki zindegi main dost
Aaj tum ho paas
Tanhayi ke is mausam main
Hain tumhara ehsaas

Kabhi kabhi maan niharti hain
Hokar yun majboor
Dhire dhire jaa rahe hoon
Tum mujhse kahi door

Dwar humne bhi khol rakhe hain
Yun aane jaane ki
Shran bhar ki bhabna hain mohabbat
Kisi ko zeevan bhar ke liye paane ki

Kaal tum bhi toh chaale jaoge
Mere shreetij ke us par
Kisi aur ke nigaho main dhoodoge
Phir se zindegi ka pyar

Us par se agar phir dekho bhi tum
Mudhke mujhe ek bar
Nahi bulaungi tumko main
Aapne liye ispar

Tanhayi ka aalam joh aaj hai
Shayad kal bhi reh jaye
Mahak phulo ka shaban main
Dhulkar beh jaye

Darde dil ko dard ki
Aaj shikya nahi
Anjani meri woh bate
Rahegi humesha aankahi...

Sukhe Jasbat

Sukhe sukhe din hai mere
Rukhe rukhe hai jasbaat
Aaj tanhayi ke mausam main
Bol kabita kyun tu nahi hai saath

Jasbat kya tu mar chuka hai
Sangeet kya bhul gayi hai taan
Kanan ki woh madhur koyal
Kya bhul gayi hai apni gaan

Aaj bhi panchi dur gagan main
Zeevan sangeet sunati hai
Chand aaj bhi raaton main
Chandni phyallati hain

Gagan aaj bhi raaton main
Hazar diye jalati hain
Indradanush saath rangon se
Jivan ko sajati hain

Phir bhi aai dil batade mujhko
Aaj kyun tu nahi gaati
Dard main bhi nigahe meri
Tu kyun bhar nahi aati

Mana ki sapney dhub chuki hain
Mana amabash main nahi hain noor
Phir bhi aai kabita mere
Tu zindegi se hain kyun itni door...

Tuesday, May 15, 2007

Paribhasha

Hoto ke Jhute hasi ke piche
Hai kitne gum chupe huye
Is nigaho ki masti ke piche
Hai kitne aasu ruke huye
Maine kabhi na kaha kisi se
Dil main kitne gum hai chupe huye

Naa jana kisi tanhayiyoo main
Kitni aahe mai leti hoon
Kise thodkor khamosh raaton main
Apne aapko khoti hoon

Kabita bankar kiski yaad
Rehti hain is dil main
Hoto se jo bayan hoti hain
Diwano ki mehfil main

Kisi ne naa jana tha ki
Kya hai yeh silsila
Bhavnayo ko yuh sajaane ki prerna
Mujhko kisse mila

Kaun hai joh nur bankar
In palko par rehta hai
Zindegi yeh khubsurat hai
Har pal mujhse kehta hain

Joh bhi roop do, hai toh woh baas
Is zeevan ki prerna
Tanhayiyon main jalayi huyi
Main har diye ki saadna

Nirasha main aasha ban kar
Pal pal woh rehta hai
Khusboo bankar mere aangan ke
Chaaro aur woh behta hain

Bejuban dil ki hain woh ek
Madhur karun bhasha
Du main use kya is zeevan ki
Mohabaat ki paribhasha..

Wednesday, April 04, 2007

Bedardi

Naina bichaye aas lagaye
Pal pal humne intezar kiya
Bedarde sanam tumne kyun
Humko yu inkar kiya

Tumne kabhi socha nahi
Mere saare sapne toot gaye
Tum jo roothe, hoto se mere
Sangeet jaise choot gaye

Tumne naa jana sapno mein mere
Kitni dafa tum aati ho
Marichika ke bhati in ingaho ko
Kis tarah se sarsati ho

Zindegi ka noor bankar
Umeed tum dilati ho
Phir achanat kahi kho kar
Tanhayi mein rulati ho

Phir bhi yeh aasha hai meri
Rahon main tumhare phool khile
Hum ko tum milena sahi
Tumhe man ka meet zaroor mile

Hum toh teri yado se hi
Aashiyan apna basayenge
Hakikat main naa sahi
Khwabo main tumko hum payenge

Sapne tumhare sakar ho
Yahi duwa ke geet hum gayenge
Tumhare hoto ki haasi dekh hi
Hum sada muskurayenge

Saturday, February 24, 2007

Let thy love be my inspiration

I aspire thy love which comes to me
Through unseen paths not known,
It touches deep into my soul
Yet to the world not shown.

A love that circumscribes like the sunshine bright
And flows through the veins as a silent plight-
A love that asks nothing in return for all that one gives
A love that remains always beside far though it lives.

A love that is no infatuation
A love that knows no possession;
A love that means only sacrifice
And eliminates the pain
A love that remains always loyal
In sunlight or in rain.

A love that believes only in giving
A trust that adds life to my living;
A faith that guides from all vice
A feeling - innocent, serene and nice.

Let thy love come to me in such form oh dear-
So that it shakes off from my heart
All shame and all fear;
So that it brings me from dark
To ever-augmenting luminosity,
Let thy love inspire my life
Towards the heights of sublimity.

Wednesday, February 07, 2007

Kavita - 2

Ai kavita meri tu chala ja kahi
Naa karni mujhe aur tujhse baat
Na madhosh hona hai mujhe un nagmo mein
Naa khona hai khudhko le khwabo ki barat-

Sapne mere kho gaye hai aaj
Kale badal ke chao mein
Farebi ka dhuwa cha gaya hai
Mere in nigaho mein

Jhoot ki duniya aaj
Khubsoorati dikhai deti nahi
Bachpan ki woh masumiwat
Chali gayi hai dur kahi

Dekha hai maine anath shishu ko
Andhere raato mein rote huwe
Dekha hai kamjoro ke saath
Hardam annaya hote huwe

Maliko ko Dekha hai maine
Majdooro ka khun pite huwe
Kayi bhai beheno ko dekha hai
Sadako par jite huwe-

Netao ko dekha hai
Kaise chunao mein dhoka karte hai
Janata ka woh paisa loot kar
Tijori apne bharte hai

Majhab ke naam par dekha hai maine
Kai bar logo ko ladte huwe
Dange fasad mein dekha hai
Nirdosh logo ko marte huwe

Bekar yuvak Naukri ke liye
Kaise pagalon ki tarah ghumte firte hai
Ghar mein uske hamesha
Nirasha chayi rahti hai

Gunehgaro ko dekha maine
Azadi ki uddan bharte huwe
Begunaho ko dekha hai
Nyay ke chowkhat par marte huwe

Shayari meri aaj kho gayi hai
Zindegi ke andhakaro main
Kiya hai mujhse sawal
Aasuwo ke pukaron ne

Kya kabita meri aaj kisi ek bhi dil ko
Dastak de sakti hai
Kya meri shayari uske soye huwe
Insaniyat ko jaga sakti hai

Tuesday, February 06, 2007

Which philosophy I follow?

You scored as Existentialism. Your life is guided by the concept of Existentialism: You choose the meaning and purpose of your life.



“Man is condemned to be free; because once thrown into the world, he is responsible for everything he does.”

“It is up to you to give [life] a meaning.”

--Jean-Paul Sartre



“It is man's natural sickness to believe that he possesses the Truth.”

--Blaise Pascal



More info at Arocoun's Wikipedia User Page...

Existentialism

100%

Kantianism

85%

Utilitarianism

65%

Justice (Fairness)

65%

Hedonism

50%

Nihilism

45%

Apathy

20%

Strong Egoism

10%

Divine Command

5%

What philosophy do you follow? (v1.03)
created with QuizFarm.com

Tuesday, January 30, 2007

My position in the political compass


The Political Compass

Economic Left/Right: -9.75
Social Libertarian/Authoritarian: -2.05

The political compass

Friday, January 12, 2007

Purane dino ki tarah

Mere har sur mein, har taal mein
Zindegi ke har khayal mein
Aaj piya tum phir se
Aate kyun nahi
Punare dino ki tarah
Kahi aas paas tum
Nazar ate kyun nahi

Dur badalon mein chup gaya hai
Joh chand aaj sharmakar
Nigahe meri dhunde use
Har gali har raha par

Sigdha shamo mein teri shant baate
Dil ko chu jata kyun nahi
Purane dino ki tarah
Kahi aas paas tum
Nazar ate kyun nahi

Yad hai kabhi saath baith kar
Karte the sukh dukh ki baate
Zindegi ke raho mein
Kabhi ho jati thi mulakate

Un viran galiyon par
Aaj tanha chalti hoon mai
Tum ate kyun nahi
Purane dino ki tarah
Kahi aas paas tum
Nazar ate kyun nahi

Subah ki pehli kiran mein
Ek saya sa jhalakta hai
Woh saya dekhkar kadme meri
Us wor chala jata hai
Kuch dur jakar woh saya phir
Nazar ata kyun nahi
Purane dino ki tarah
Kahi aas paas tum
Nazar ate kyun nahi

Woh chaya kya ek hakikat hai
Wah sirf kalpana hai mere pyar ka
Wah phir kya woh paigam hai
Tumhare intezaar ka
Puchti hoon mai yeh zindegi se
Yeh kuch kehta kyun nahi
Purane dino ki tarah
Kahi aas paas woh
Nazar ata kyun nahi
 
Follow on Buzz
stat counter