Wednesday, February 07, 2007

Kavita - 2

Ai kavita meri tu chala ja kahi
Naa karni mujhe aur tujhse baat
Na madhosh hona hai mujhe un nagmo mein
Naa khona hai khudhko le khwabo ki barat-

Sapne mere kho gaye hai aaj
Kale badal ke chao mein
Farebi ka dhuwa cha gaya hai
Mere in nigaho mein

Jhoot ki duniya aaj
Khubsoorati dikhai deti nahi
Bachpan ki woh masumiwat
Chali gayi hai dur kahi

Dekha hai maine anath shishu ko
Andhere raato mein rote huwe
Dekha hai kamjoro ke saath
Hardam annaya hote huwe

Maliko ko Dekha hai maine
Majdooro ka khun pite huwe
Kayi bhai beheno ko dekha hai
Sadako par jite huwe-

Netao ko dekha hai
Kaise chunao mein dhoka karte hai
Janata ka woh paisa loot kar
Tijori apne bharte hai

Majhab ke naam par dekha hai maine
Kai bar logo ko ladte huwe
Dange fasad mein dekha hai
Nirdosh logo ko marte huwe

Bekar yuvak Naukri ke liye
Kaise pagalon ki tarah ghumte firte hai
Ghar mein uske hamesha
Nirasha chayi rahti hai

Gunehgaro ko dekha maine
Azadi ki uddan bharte huwe
Begunaho ko dekha hai
Nyay ke chowkhat par marte huwe

Shayari meri aaj kho gayi hai
Zindegi ke andhakaro main
Kiya hai mujhse sawal
Aasuwo ke pukaron ne

Kya kabita meri aaj kisi ek bhi dil ko
Dastak de sakti hai
Kya meri shayari uske soye huwe
Insaniyat ko jaga sakti hai

3 comments:

suvarup said...

khwabon ko bhulayenge
to kaise jee payenge?
zamaane se ladne ki takat
khwabon se hi to milti hain
ek behtar-kal ke liye udaan
hum khwabon mein hi to bharte hain
khwabein anmol hain
inko na shaehr badar kijiye
zindagi ke ladai mein
is dost ko pehchaan lijiye

Anonymous said...

Good Poem

Anonymous said...

Hi Sas,

First thing poem is amazing. I appriciate your feelings, and the way in which u have catched feeling into words......

Good work dear... but one thing i dont know why cant u try to look the world with some different angle.

Insan ke khushi yar dukh wo kaha pe jita hai uaspe depend nahi hota hai, lekin wo kaise ji raha hai uaspe nirbhar hota hai. Shayed koyi mahel ki rajkumari bhi uadas hai to koyi footpat ke ladki ke aankhome chamak dikhayi deti hai...

Sas as a friend, i suggest u look the world with some different angle. Atleast in present phase of your life, try to write some romantic poems or atleast try to catch the happiness of street girl....................

Dont forget that she is enjoying her life wherever she is....

Regards,

Kumar

 
Follow on Buzz
stat counter