Tuesday, May 15, 2007

Paribhasha

Hoto ke Jhute hasi ke piche
Hai kitne gum chupe huye
Is nigaho ki masti ke piche
Hai kitne aasu ruke huye
Maine kabhi na kaha kisi se
Dil main kitne gum hai chupe huye

Naa jana kisi tanhayiyoo main
Kitni aahe mai leti hoon
Kise thodkor khamosh raaton main
Apne aapko khoti hoon

Kabita bankar kiski yaad
Rehti hain is dil main
Hoto se jo bayan hoti hain
Diwano ki mehfil main

Kisi ne naa jana tha ki
Kya hai yeh silsila
Bhavnayo ko yuh sajaane ki prerna
Mujhko kisse mila

Kaun hai joh nur bankar
In palko par rehta hai
Zindegi yeh khubsurat hai
Har pal mujhse kehta hain

Joh bhi roop do, hai toh woh baas
Is zeevan ki prerna
Tanhayiyon main jalayi huyi
Main har diye ki saadna

Nirasha main aasha ban kar
Pal pal woh rehta hai
Khusboo bankar mere aangan ke
Chaaro aur woh behta hain

Bejuban dil ki hain woh ek
Madhur karun bhasha
Du main use kya is zeevan ki
Mohabaat ki paribhasha..

No comments:

 
Follow on Buzz
stat counter