Thursday, June 08, 2006

Mohabaat Jaab tum the saath

Mohabaat, Jab tum the saath,
Duniya yeh sunehari lagti thi
Lagti thi har kali pyaari
Chandni bhi us madhur gagan se
Karti thi mujhse shayari

Tumhi ne toh pyar karna sikhaya
Logo mein tha prem-bhav
Manabta ke aachal mein tha
Sneha, Shanti aur sadbhav

Aaj najane kaha gum gaye tum
Dhoondu tumko yeha woha
Nafrat phail gayi hai logo mein
Kho gaya hai tumhara Khwabo ka jahan

Dur gagan ki woh koyaliya
Kyon gati nahi hai prem-rag
Kho gayi hai logo mein kyon
Daya, insaniyat va anurag

Tumhare chale jane se yu
Tanha huyi meri har sham
Bat gayi hai insaniyat
Mazhab-bhaasha-jati ke naam

Shyamal kanan mein dekho kaise
Hai khoon ke chite phaile huye
Tumhare intezaar mein kabse
Naino ke diye hai jale huye

Anyaye va shoshan ki poudh
Kisne manushya mein hai boye
Tumhari hi yaadon mein maine
Kitne raate hai rooye

Neele gagan ke awara panchi
Puchti hai tumse hamesha
Kab hogi uske sur mein
Samya, Nyay va prem-bhasha

Mohabaat, teri yaadon mein
Mein asru anjali deti hoon
Ayoge tum is duniya mein phir se
Isi ummidh se jiti hoon

2 comments:

Raja said...

Nice one

[correct the spelling of 'jab' in the title]

Anonymous said...

comrade alex
my mail id is saswati.das@dana.com
u may mail me at this address...
In solidarity,
saswati

 
Follow on Buzz
stat counter