Tuesday, September 05, 2006

Kalpana

Pata nahi yoh hakikat hai
Ya phir hai yoh meri kalpana
yah phir is tanha zindegi mein mere
Woh hai meri prerna

Sard subha ke oos mein
Ek saya sa jhalakta hai
Mai aage badu to oojhal hokar
Kahi door kho jata hai

Raat ki atithi bankar
Aata hai mere khwabon main
De jata hai kai sapney
Mere inn nigaho nein

Aasu bankar tapakta hain yoh
Meri har aah main
Ummid bankar ubharta hain
Zindegi ke har chaha main

Usi se zura hai
Mere har sangeet ka chand
Yaad usi ka deta hai
Man ko ek shashwat anand

Shritij ke us par se
Aata hai uska pukar
Sadiyon se ye nigahe meri
Shayad kare usi ka intezar.
 
Follow on Buzz
stat counter